Sunday, June 28, 2009

Ye Barsaat!!!

Ye halki halki baarish ki boondein...
Ye mehki hawaayein...ye gungunaati fizaayein...
Man ko chu le jo har dafa...
Aisi hai is mausam ki ada....

Ye saawan ka rut jo aaya...
Ye aasmaan pe baadal jo chaaya...
Le aayi hai ek mehek sandali si....
Aur layi hai chehek panchiyon ki...

Dil ko dastak deti ek dheemi si aawaaz...
Jo kaano mein gunje aur lage bahut khaas...
Bas khwabon me kho jaaye mera man...
Itna haseen hai ye barsaat ka mausam...

Sagar ki lehron se judti hui....
Banjar zameen ko saans deti hui...
Ye boondein jagaye dil mein chaahat...
Ye boondein de zindagi ko raahat...

Aaya jo ye mausam suhaana....
Le aaya hai ye paigaam purana...
Dukhon ko bhul ke khilkilaane ka...
Naachne gaaane aur muskuraane ka...

Ab bas yahi hai dil ki tamanna...
Ki aye badal tu yunhi jhilmilana...
Yunhi dil mein jeene ki umang jagaana..
Aur bas yunhi baraste jaana!!

Ye Barsaat!!!

Ye halki halki baarish ki boondein...
Ye mehki hawaayein...ye gungunaati fizaayein...
Man ko chu le jo har dafa...
Aisi hai is mausam ki ada....

Ye saawan ka rut jo aaya...
Ye aasmaan pe baadal jo chaaya...
Le aayi hai ek mehek sandali si....
Aur layi hai chehek panchiyon ki...

Dil ko dastak deti ek dheemi si aawaaz...
Jo kaano mein gunje aur lage bahut khaas...
Bas khwabon me kho jaaye mera man...
Itna haseen hai ye barsaat ka mausam...

Sagar ki lehron se judti hui....
Banjar zameen ko saans deti hui...
Ye boondein jagaye dil mein chaahat...
Ye boondein de zindagi ko raahat...

Aaya jo ye mausam suhaana....
Le aaya hai ye paigaam purana...
Dukhon ko bhul ke khilkilaane ka...
Naachne gaaane aur muskuraane ka...

Ab bas yahi hai dil ki tamanna...
Ki aye badal tu yunhi jhilmilana...
Yunhi dil mein jeene ki umang jagaana..
Aur bas yunhi baraste jaana!!